Bollywood ki sabse glamorous adakaara, Sunny Leone ka naam ab Chhattisgarh ki welfare scheme ki beneficiary list mein aa gayi hai. Sunny Leone ko add kiya hai Oye Teri Vandan Yojana ki scheme me. Ji haan, Sunny Leone, jo hamesha apne glamorous life ke liye news mein hoti hai, ab ek garib kisan ke category mein aa chuki hai. Aur government ne unke liye fix kiya hai Rs 1000 per month ka allowance.
Yeh tamasha shuru hua jab humare farzi sharp-eyed reporters ne list ko dekha aur Sunny ka naam wahan chamakta hua paaya. Sabse interesting baat? Pati ke naam me aya hai humare Johnny Bhaiya ka naam. Kya humare mashoor adakaara apna gujran kar payegi rupay 1000ke bhatte me?
Ye hi jan ne keliye humare farzi reporter ne ghumaya phone actress ko. Phone lagne par samne se koi aadmi ki awaj aayi gaur se un ne pe pata chala ki ye to Sunny Leone nai balki Sunny Deol ko lag gaya hai. Humare farzi reporter ye kafi vakt baad samja lekin tabtak to chidiya chug gayi thi khet. reporter ko laga are bhiaye sunnyji gareeb bani ye toh samje lekin mard kab ban gayi? Darke phone rakhne ke baad bhi haar na mante hue repoerter ne vapis ghumaya phone lekin iss bar sunny ko nahibalki johny ko lagaya.
Phone lagne par “Johnny Johnny Yes Papa” i callertune sunai padti hai, sunkar reperter ko lagta hai ki ha iss baar thodi sahi jagah laga hai phone. Jab Johny bhaiya ke assisatant ne phone uthaya aur shabd nikle to repoerter ke kaan khule ke khule reh gaye. Assitant bola, “Are kaa kaam hai baba?!” Reporter ko laga iss baar johny sins ko nai lekin johnny lever ko phone lag gaya shayad.
Reporter ek second ke liye confused ho gaya. “Kya yeh sach mein Johnny Sins ka number hai ya Johnny Lever se galti se connect ho gaya?” Apne doubts clear karne ke liye reporter ne puchha, “Johny bhaiya se baat ho sakti hai?” lekin naseeb kharab hone par assistant bola, ” nai vo ek important sccene ke bichme hai” Hint lete hue nirash farzi reporter phone rakh deta ha.
Ek Aakhri umeed me reporter karta hai Sunny Leone ko phone. Iss baar Farzi News ka naseeb chamka and phone sunnyji ne hi uthya. Humare honhaar repoerter ke puchne par ki aakhir yebhari rakkam ka kya krengi toh unhone hansi mein bola, “Main soch rahi hoon yeh paisa save karu ya kisi Chhattisgarh tour ka plan banu. Rs 1000 mein toh kaafi fun ho sakta hai!”
Social media par toh memes ayi baad. Ek user ne likha: “Sunny Leone ne abhi tak kaunsa show kiya jo government ko laga ki woh deserving hai? Baaki hum bhi acting karte hain boss!” Dusre ne reply kiya: “Chhattisgarh government ne ab samajh liya hai ki Sunny ki ‘Ragini MMS’ dekhkar sabko relief chahiye hota hai.”
Government Officials ka Reaction
Welfare department ke ek officer ne condition explain karte hue kaha, “Yeh ek typing error hai, aur hum poori investigation kar rahe hain. Shayad data entry karte time kisi fan ne Sunny ka naam likh diya hoga.” Ek junior officer ka yeh bhi kehna hai ki ho sakta hai kisi ne “Sunny Kumar” likhna chaha ho, but autocorrect ne usse “Sunny Leone” bana diya.
Gaon waalon ka kya kehna hai?
Usi gaon ke ek local kisan se jab poocha gaya, toh unhone haste hue bola: “Sunny Leone agar yahan aayi toh hum log khud unka swagat karenge. Aur Rs 1000 ka toh hum chanda kar lenge!” Gaon ki mahilaon ne bhi Sunny ka naam list mein dekhkar excitement dikhayi. Ek aunty ne kaha, “Agar Sunny yahan aa jaye toh humko bhi unke jaise looks aur makeup ka secret puchhna hai!”
Chhattisgarh government ka yeh blooper humein ek lesson deta hai: kabhi kabhi technology aur human error milkar ek aisa scene create kar dete hain, jo pure country ke liye entertainment ban jata hai. Sunny Leone ka naam aur Rs 1000 ka allowance ab history mein ek epic joke ke taur par yaad rakha jayega. Aapko kya lagta hai? kya farzi news ko ye story ke live updates cover karni chahiye?
0 Comments